A close comparison

See the 'script bar' at the bottom of the page for viewing choices.

     
tarānah-e hindī
 
tarānah-e millī
     
1h) ... 1m)
sāre jahāñ se achchā hindūsitāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ us kī vuh gulsitāñ hamārā
 
chīn-o-ʿarab hamārā hindūsitāñ hamārā
muslim haiñ ham vat̤an hai sārā jahāñ hamārā
     
2h)   2m)
ġhurbat meñ hoñ agar ham rahtā hai dil vat̤an meñ
samjho vuhīñ hameñ bhī dil ho jahāñ hamārā
 
tauḥīd kī amānat sīnoñ meñ hai hamāre
āsāñ nahīñ miṭānā nām-o-nishāñ hamārā
     
3h)   3m)
parbat vuh sab se ūñchā hamsāyah āsmāñ kā
vuh santarī hamārā vuh pāsbāñ hamārā
 
duniya ke but-kadoñ meñ pahlā vuh ghar ḳhudā kā
ham us ke pāsbāñ haiñ vuh pāsbāñ hamārā
     
4h)   4m)
godī meñ kheltī haiñ us kī hazāroñ nadiyāñ
gulshan hai jin ke dam se rashk-e janāñ hamārā
 
teġhoñ ke sāʾe meñ ham pal kar javāñ huʾe haiñ
ḳhanjar ḥilāl kā hai qaumī nishāñ hamārā
     
5h)   5m)
ay āb-rūd-e gangā vuh din haiñ yād tujh ko
utarā tire kināre jab kāravāñ hamārā
 
maġhrib kī vādiyoñ meñ gūñjī ażāñ hamārī
thamtā nah thā kisī se sail-e ravāñ hamārā
     
6h)   6m)
mażhab nahīñ sikhātā āpas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham vat̤an hai hindūsitāñ hamārā
 
bāt̤il se dabne vāle ay āsmāñ nahīñ ham
sau bār kar chukā hai tū imtiḥāñ hamārā
     
7h)   7m)
yūnān-o-miṣr-o-romā sab miṭ gaʾe jahāñ se
ab tak magar hai bāqī nām-o-nishāñ hamārā
 
ay gulsitān-e andlūs vuh din haiñ yād tujh ko
thā terī ḍāliyoñ meñ jab āshiyāñ hamārā
     
8h)   8m)
kuchh bāt hai kih hastī miṭtī nahīñ hamārī
ṣadiyoñ rahā hai dushman daur-e zamāñ hamārā
 
ay mauj-e dajlah tū bhī pahchāntī hai ham ko
ab tak hai terā daryā afsānah-ḳhvāñ hamārā
     
9h)   9m)
iqbāl koʾī maḥram apnā nahīñ jahāñ meñ
maʿlūm kyā kisī ko dard-e nihāñ hamārā
 
ay arẓ-e pāk terī ḥarmat pah kaṭ mare haiñ
hai ḳhūñ tirī ragoñ meñ ab tak ravāñ hamārā
     
    10m)
   
sālar-e kāravāñ hai mīr-e ḥijāz apnā
us nām se hai bāqī ārām-e jāñ hamārā
     
    11m)
   
iqbāl kā tarānah bāñg-e darā hai goyā
hotā hai jādah-pemā phir kāravāñ hamārā
     
     

Iqbal has obviously composed the second of these two ghazals to resonate with the first. They are in the same meter, and they both have the same rhyme scheme (refrain hamārā , rhyme-syllable āñ ).

A number of verses recycle the same rhyme-words too:

pāsbāñ from (3h) is reused in (3m)
kāravāñ from (5h) is reused in (11m)
nām-o-nishāñ from (7h) is reused in (2m)

But the similarities go much further.

we are nightingales in a garden in (1h), we are birds in a garden in (7m)
we have door-guards in both (3h) and (3m)
the Ganges is addressed in (5h), the Tigris in (8m)
both (5h) and (7m) address a natural presence and say vuh din haiñ yād tujh ko
both (6h) and (1m) define for us a vat̤an
both (7h)-(8h) and (2m) make it clear that we're hard to erase

And there are also a few striking oppositions, especially at the beginning and end. The opening-verse (1h) claims that our homeland is better than the whole world, while the opening-verse (1m) claims that our homeland is the whole world. And the closing-verse (9h) speaks of solitude and dejection, while (10m) and the closing-verse (11m) claim inclusion in a collective moving caravan led, reassuringly, by the Prophet himself.

In general, 'Tarannah-e Hindi' exultantly contrasts India with dead empires, and makes it clear that India is the beautiful center of our loyalties-- an India that has religious tolerance as a guiding moral principle. By contrast, 'Taranna-e Milli' roams the whole world: Central Asia, Arabia, the West, Andalusia, the Tigris River. It directs our attention away from any one geographical place, and refocuses it on a religious community, a millat , moving through history, through many times and places, with a special monotheistic mandate more precious than life itself.


-- "Two Taranahs" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --