See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
kafan
*u988* jhoñpṛe ke darvāze par bāp aur beṭā donoñ ek bujhe huʾe alāʾo ke sāmne ḳhāmosh baiṭhe huʾe the - aur andar beṭe kī naujavān bīvī budhiyā dard-e zah se pachhāṛeñ khā rahī thī - aur rah rah kar us ke muñh se aisī dil-ḳharāsh ṣadā nikaltī thī kih donoñ kalejah thām lete the - jāṛoñ kī rāt thī , faẓā sannāṭe meñ ġharq - sārā gāʾoñ tārīkī meñ jażb ho gayā thā -
ghīsū ne kahā , " maʿlūm hotā hai bachegī nahīñ - sārā din taṛapte ho gayā - jāʾo , dekh to ā -"
mādhav dardnāk laḥaje meñ bolā , " marnā hī hai to jaldī mar kyūñ nahīñ jātī - dekh kar kyā karūñ -"
" tū baṛā bedard hai be - sāl bhar jis ke sāth jindagānī kā sukh bhogā usī ke sāth itnī bevaphāʾī -"
" to mujh se to us kā taṛa;pnā aur hāth pāʾoñ paṭaknā nahīñ dekhā jātā -"
chamāroñ kā kunbah thā aur sāre gāʾoñ meñ badnām - ghīsū ik din kām kartā to tīn din ārām - mādhav itnā kām-chor thā kih ghañṭah bhar kām kartā to ghañṭe bhar *note1* chilam pītā - isliʾe unheñ koʾī rakhtā hī nah thā - ghar meñ muṭṭhī bhar anāj bhī maujūd ho to un ke liye kām karne kī qasam thī - jab do ek fāqe ho jāte to ghīsū daraḳhtoñ par chaṛh kar lakṛiyāñ toṛ lātā aur mādhav bāzār se bech lātā - aur jab tak vuh paise rahte donoñ idhar udhar māre māre phirte - *jab fāqe kī naubat ā jātī to phir lakṛiyāñ toṛte , yā koʾī mazdūrī talāsh karte -* gāʾoñ meñ kām kī kamī nah thī - kāshtkāroñ kā gāʾoñ thā - maḥnatī ādmī ke liʾe pāchās kām the - magar un donoñ ko log usī vaqt bulāte jab do ādmiyoñ se ek kā kām pā kar bhī qanāʿat kar lene ke sivā aur koʾī chārah nah hotā -
kāsh donoñ sādhū hote to unheñ qanāʿat aur tavakkul ke liʾe ẓabt̤-e nafs kī mut̤laq ẓarūrat nah hotī - yih un kī ḳhalqī ṣifat thī - ʿajīb zindagī thī un kī - ghar meñ miṭṭī ke do chār bartanoñ ke sivā koʾī aṡāṡah nahīñ - phaṭe chīthṛoñ se apnī ʿuryānī ḍhāñke *u989* huʾe , duniyā kī fikroñ se āzād - qarẓ se lade huʾe - gāliyāñ bhī khāte , mār bhī khāte , magar koʾī ġham nahīñ - miskīn itne kih vaṣūlī kī mut̤laq ummīd nah hone par log unheñ kuchh nah kuchh qarẓ de dete the - maṭar yā ālū kī faṣl meñ khetoñ se maṭar yā ālū ukhāṛ lāte aur bhūn bhūn kar khā lete - yā das pāñch ūkh toṛ lāte aur rāt ko chūste - ghīsū ne isī zāhidānah andāz se sāṭh sāl kī ʿumr kāṭ dī - aur mādhav bhī saʿādatmand beṭe kī t̤araḥ bāp ke naqsh-e qadam par chal rahā thā - balkih us kā nām aur bhī raushan kar rahā thā -
*to translation section (1a)* -- *on to text section (1b)*
-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --