(1b) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (1b)* -- *back to text section (1a)*

*u989 cont'd* is vaqt bhī donoñ alāʾo ke sāmne baiṭhe ālū bhūn rahe the jo kisī ke khet se khod lāʾe the - ghīsū kī bīvī kā to muddat huʾī intiqāl ho gayā thā - mādhav kī shādī pichhle sāl huʾī thī - jab se yih ʿaurat āʾī thī us ne us ḳhāndān meñ tamaddun kī buniyād ḍālī thī - *pisāʾī kar ke , ghās chhīl kar , vuh ser bhar āṭe kā intaz̤ām kar letī thī -* aur in donoñ be-ġhairatoñ kā dozaḳh bhartī rahtī thī - jab se vuh āʾī yih donoñ aur bhī ārām-t̤alab aur ālasī ho gaʾe the - balkih kuchh akaṛne bhī lage the - koʾī kām karne ko bulātā to be-niyāzī kī shān se dogunī mazdūrī māñgte - vuhī ʿaurat āj ṣubḥ se dard-e zah se mar rahī thī - aur yih donoñ shāyad isī intiz̤ār meñ the kih vuh mar jāʾe to ārām se soʾeñ -

ghīsū ne ālū nikāl kar chīlte huʾe kahā , " jā kar dekh to kyā ḥālat hai us kī - chuṛail kā phisād hogā aur kyā - yahāñ to ojhā bhī ek rūpayah māñgtā hai - *kis ke ghar se āʾe -*"

mādhav ko andeshah thā kih vuh koṭhrī meñ gayā to ghīsū ālūʾoñ kā baṛā ḥiṣṣah ṣāf kar degā - bolā , " mujhe vahāñ ḍar lagtā hai -"

" ḍar kis bāt kā hai - maiñ to yahāñ hūñ hī -"

" to tumhīñ jā kar dekho nah -"

" merī ʿaurat jab marī thī to maiñ tīn din us ke pās se hilā bhī nahīñ - aur phir mujh se lajāʾegī kih nahīñ - kabhī us kā muñh nahīñ dekhā , āj us kā ughṛā huʾā badan dekhūñ ! use tan kī sudh bhī to nah hogī - mujhe dekh legī to khul kar hāth pāʾoñ bhī nah paṭak sakegī -"

*u990* " maiñ sochtā hūñ koʾī bāl bachchah ho gayā to kyā hogā - soñṭh , guṛ , tel , kuchh bhī to nahīñ hai ghar meñ -"

" sab kuchh ā jāʾegā - bhagvān bachchah deñ to - jo log abhī ek paisah nahīñ de rahe haiñ vuhī tab bulā kar deñge - mere nau laṛke huʾe - ghar meñ kabhī kuchh nah thā - magar isī t̤araḥ har bār kām chal gayā -"

*to translation section (1b)* -- *on to text section (1c)*



-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --