(3e) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (3e)* -- *back to text section (3d)*
*u996* ghīsū khaṛā ho gayā aur jaise musarrat kī lahroñ meñ tairtā huʾā bolā , " hāñ beṭā , baikuñṭh meñ jāʾegī - kisī ko satāyā nahīñ - kisī ko dabāyā nahīñ - marte marte hamārī jindagī kī sab se baṛī lālsā pūrī kar gaʾī - vuh nah baikuñṭh meñ jāʾegī to kyā yih moṭe moṭe log jāʾeñge jo garīboñ ko donoñ hāth se lūṭte haiñ , aur apne pāp ko dhone ke liʾe gangā meñ nahāte *note1* haiñ aur mandir meñ jal chaṛhāte haiñ -"
yih ḳhvush-ětiqādī kā rang bhī badlā - talavvun nashe kī ḳhāṣiyat hai - yās aur ġham kā daurah huʾā -
mādhav bolā , " magar dādā bichārī ne jindagī meñ baṛā dukh bhogā - marī bhī kitnā dukh jhel kar -" vuh āñkhoñ par hāth rakh kar rone lagā [chīḳheñ mār mār kar] -
ghīsū ne samjhāyā , " kyūñ rotā hai beṭā - khus ho kih vuh māyā-jāl se mukt ho gaʾī - janjāl se chhūṭ gaʾī - baṛī bhāgavān thī jo itnī jald māyā-moh ke bañdhan toṛ diʾe -"
aur donoñ vuhīñ khaṛe ho kar gāne lage-
ṭhaginī kyūñ naināñ jhumkāve - ṭhaginī -
sārā mai-ḳhānah maḥv-e tamāshā thā aur yih donoñ mai-kash maḥviyat ke ʿālam meñ gāʾe jāte the - phir donoñ nāchne lage - uchhle bhī , kūde bhī , gire bhī , maṭke bhī - bhāʾo bhī batāʾe [abhīnay bhī kiʾe] , aur āḳhir nashah se badmast ho kar vuhīñ gir paṛe -
-- "The Shroud" index page
-- *Platts Dictionary Online* -- FWP's
main page --