(3d) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (3d)* -- *back to text section (3c)*

*u995 cont'd* jyūñ jyūñ andherā baṛhtā thā aur sitāroñ kī chamak tez hotī thī , mai-ḳhānah kī raunaq bhī baṛhtī jātī thī - koʾī gātā thā , koʾī bahaktā thā - koʾī apne rafīq ke gale lipṭā jātā thā , koʾī apne dost ke muñh meñ sāġhar lagāʾe detā thā - vahāñ kī fiẓā meñ surūr thā - havā meñ nashah - kitne to chullū meñ ullū ho jāte haiñ - *yahāñ āte the ṣirf ḳhvud-farāmoshī kā mazah lene ke liʾe -* sharāb se ziyādah yahāñ kī havā se masrūr hote the - zīst kī balā yahāñ kheñch lātī thī - aur kuchh der ke liʾe vuh bhūl jāte the kih vuh zindah haiñ , yā murdah haiñ , yā zindah dar-gor haiñ -

aur yih donoñ bāp beṭe ab bhī maze le le kar chuskiyāñ le rahe the - sab kī nigāheñ un kī t̤araf jamī huʾī thīñ - kitne ḳhvush-naṣīb haiñ donoñ - pūrī botal bīch meñ hai -

khāne se fāriġh ho kar mādhav ne bachī huʾī pūṛiyoñ kā pattal uṭhā kar ek bhikārī ko de diyā jo khaṛā un kī t̤araf garsanah nigāhoñ se dekh rahā thā - aur dene ke ġharūr aur musarrat aur valvalah kā apnī zindagī meñ pahlī bār aḥsās kiyā -

ghīsū ne kahā , " le jā - khūb khā aur asīrbād de - jis kī kamāʾī hai vuh to mar gaʾī , magar terā asīrbād use jarūr pahuñch jāʾegā - roʾeñ roʾeñ se asīrbād de - baṛī gāṛhī kamāʾī ke paise haiñ -"

mādhav ne phir āsmān kī t̤araf dekh kar kahā , " baikuñṭh meñ jāʾegī dādā - baikuñṭh kī rānī banegī -"

*to translation section (3d)* -- *on to text section (3e)*


-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --