a ghazal composed by Shahryar for the film, and sung by Talat Aziz meter: #18 in the *meter list*
   
whenever life brings us into your gathering
this earth appears better than a moon to us 
zindagī jab bhī tirī bazm meñ lātī hai hameñ
yih zamīñ chāñd se bihtar naz̤ar ātī hai hameñ
the heart's roads are perfumed with red flowers
when the day has waned, your voice somehow calls to us 
surḳh phūloñ se mahak uṭhtī haiñ dil kī rāheñ
din ḍhale yūñ tirī āvāz bulātī hai hameñ
your memory, sometimes through a knock and sometimes through a whisper,
in the last watch of the night, every day wakes us 
yād terī kabhī dastak kabhī sar-goshī se
rāt ke pichhle pahar roz jagātī hai hameñ
why is the outcome of every meeting, separation?
now, all the time, this thought torments us 
har mulāqāt kā anjām judāʾī kyūñ hai
ab to har vaqt yihī bāt satātī hai hameñ
   
since I'm separated from you, now whom does she cause us to meet?
what color does life, having taken a look, show to us? 
tum se bichhṛī hai to ab kis se milātī hai hameñ
zindagī dekh ke kyā rang dikhātī hai hameñ
   
Here's the form of the ghazal that Shahryar published in his own name, as serious Urdu poetry:  
since we're separated from you, now whom does it cause us to meet?
let's see what mood life shows us
tujh se bichhṛe haiñ to ab kis se milātī hai hameñ
zindagī dekhiye kyā rang dikhātī hai hameñ
at one time your image was the focus of eye and heart
today, how we laugh at this thought!
markaz-e dīdah-o-dil terā taṣavvur thā kabhī
āj is bāt pah kitnī hañsī ātī hai hameñ
again somehow there will be a collision between dream and reality
again some nameless destination calls us
phir kahīñ ḳhvāb-o-ḥaqīqat meñ tasādum hogā
phir koʾī manzil-e be-nām bulātī hai hameñ
neither in the heart that pain, nor in the eyes that storm
no telling which direction this is, where the world is taking us
dil meñ vuh dard nah āñkhoñ meñ vuh tugyānī hai
jāne kis simt yih dunyā liye jātī hai hameñ
how gracious is the revolving of the times, that today
this earth appears better than a moon to us
gardish-e vaqt kā kitnā baṛā iḥsāñ hai kih āj
yih zamīñ chāñd se bihtar naz̤ar ātī hai hameñ
Source: dhūp kī dīvāreñ (Panchkula, Haryana: Adhar Prakashan, 1998), p. 38  
 
 

 
-- UMRAO JAN index page -- Platts Dictionary -- Glossary -- fwp's main page --
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --