'The Rainy Season-- and Slipping' / barsaat aur phislan
by Nazir Akbarabadi (1740-1830)

 

 

(1)
barsaat kaa jahaan me;N lashkar phisal pa;Raa
baadal bhii har :taraf se havaa par phisal pa;Raa
jha;Ryo;N kaa me;Nh bhii aa ke saraasar phisal pa;Raa
chhatta kisii kaa shor machaa kar phisal pa;Raa
ko;Thaa jhukaa a;Taarii girii dar phisal pa;Raa

(2)
jin ke na))e na))e the makaa;N aur ma;hal-saraa
un kii chhate;N ;Tapaktii hai;N chhalnii ho jaa bah jaa
diivaare;N bai;Thtii hai;N chhalo;N kaa hai ;Gul machaa
laa;Thii ko ;Tek kar jo sutuu;N hi kha;Raa to kyaa
chhajjaa giraa mu;N;Derii kaa patthar phisal pa;Raa

(3)
jha;Ryo;N ne is :tara;h kaa diyaa aa ke jha;R lagaa
sunye jidhar udhar ko dha;Raake kii hai .sadaa
ko))ii pukaare hai miraa darvaazah gir chalaa
ko))ii kahe hai haa))e kahuu;N tum se ab mai;N kyaa
tum dar ko jhelte ho miraa ghar phisal pa;Raa

(4)
baaraa;N jab aa ke pu;xtah makaa;N ke ta))ii;N hilaa))e
kachchaa makaa;N phir us kii bhalaa kyuu;Nkih taab laa))e
har jho;Npa;Re me;N shor hai har ghar me;N vaa))e vaa))e
kahte hai;N yaaro dau;Riyo jaldii se haa))e haa))e
paakhe pachhiyat so ga))e chappar phisal pa;Raa

(5)
aa kar giraa jo hai kisii -- -- -- kaa ab makaa;N
aur us ke aashnaa kii bhii chhat girtii hai jahaa;N
kahtaa hai ;Tha;T;The-baaz har ik un se aa ke vaa;N
kyaa bai;The chhat ko rote ho tum ai miyaa;N yahaa;N
vaa;N chhat-lagan kaa aap ke sab ghar phisal pa;Raa

(6)
yaa;N tak har ik makaa;N kii phisalne kii hai zamii;N
nikle jo ghar se us ko phisalne kaa hai yaqii;N
muflis ;Gariib par hii yih mauquuf kuchh nahii;N
kyaa fiil kaa savaar hai kyaa paalkii-nishii;N
aayaa jo is zamiin ke uupar phisal pa;Raa

(7)
dekho jidhar-tidhar ko yihii ;Gul pukaar hai
ko))ii pha;Nsaa hai aur ko))ii kiicha;R me;N ;xvaar hai
pyaadah u;Thaa jo mar ke to pichh;Raa savaar hai
girne kii dhuum-dhaam yih kuchh be-shumaar hai
jo haathii rap;Taa uu;N;T giraa ;xar phisal pa;Raa

(8)
chiknii zamii;N pah yaa;N ta))ii;N kiicha;R hai be-shumaar
kaisaa hii hoshyaar pah phisle hai ek baar
naukar kaa bas kuchh us me;N nah aaqaa kaa i;xtiyaar
kuuchah gali me;N ham ne to dekhaa hai kitne baar
aaqaa jo ;Dagmagaa))e to naukar phisal pa;Raa

(9)
kuuche me;N ko))ii aur ko))ii baazaar me;N giraa
ko))ii galii me;N gir ke hai kiicha;R me;N lo;Ttaa
raste ke biich paa))o;N kisii kaa rapa;T gayaa
is sab jagah ke girne se aayaa jo bach-bachaa
vuh apne ghar ke .sa;hn me;N aa kar phisal pa;Raa

(10)
daldal jo ho rahii hai har ik jaa pah rasmasi
mar-mar u;Thaa hai mard to ((aurat rahii pha;Nsii
kyaa sa;xt mushkilaat hai kyaa sa;xt bekasii
us kii ba;Rii ;xaraabii hu))ii aur ba;Rii ha;Nsii
jo apne jaa-.zaruur ke andar phisal pa;Raa

(11)
-- -- jo naachne ko chalii ko))ii ;xvush-jamaal
-- -- bhii saath us ke chalaa saaz ko sa;Nbhaal
aayaa qadam tale jo phisalnii zamii;N kaa ;Dhaal
-- -- udhar ko uu hii re kar kar girii ni;Dhaal
-- -- udhar ko aah re kar kar phisal pa;Raa

(12)
aisii havas me;N -- jo ko))ii nuktah-chiin hai
kahtaa hai us se -- -- jo .suhbat qariin hai
uu bii yih -- -- yaa kih phisalnii zamiin hai
tum ko -- -- ke jaane kaa andar yaqiin hai
par mai;N to jaantaa huu;N kih baahar phisal pa;Raa

(13)
((aaqil jo -- -- baaz kahaataa hai ab ba;Raa
-- -- jahaa;N girii to vuhii;N aap bhii giraa
jo taa;R-baaz the so pukaare yih jaa bah jaa
yaaro yih jaa-e ;Gor hai ;Tuk dekhiyo ;zaraa
banye kaa be;Taa kuchh to samajh kar phisal pa;Raa

(14)
aur jis kisii ke dil ko hai la;Rko;N ke tan kii chaah
niklaa vuh saath la;Rke ke kiicha;R me;N ho tabaah
ulfat kii apnii chaah jataane ko ;xvaah-ma;xvaah
lau;N;Daa giraa jo aage to piichhe se yih bhii aah
be-i;xtiyaar us ke baraabar phisal pa;Raa

(15)
kartii hai garchih sab ko phisalnii zamiin ;xvaar
((aashiq ko par dikhaa))ii hai kuchh aur hii bahaar
aayaa jo saamne ko))ii ma;hbuub-e gul-((a;zaar
girne kaa makkar kar ke uchhal kuud ek baar
us sho;x gul-badan se lipa;T kar phisal pa;Raa

(16)
kiicha;R se har makaa;N kii to bachtaa bahut phiraa
par jab dikhaa))ii dii khule baalo;N kii ik gha;Taa
bijlii bhii chamkii ;husn kii me;Nh barsaa naaz kaa
phislan jab aisii aa))ii to phir kuchh nah bas chalaa
aa;xir ko vaa;N na:ziir bhii aa kar phisal pa;Raa