maze jahaan ke apnii na:zar me;N ;xaak
nahii;N
sivaa-e ;xuun-e jigar so jigar me;N ;xaak nahii;N
magar ;Gubaar hu))e par havaa u;Raa
le jaa))e
vagarnah taab-o-tavaa;N baal-o-par me;N ;xaak nahii;N
yih kis bihisht-shamaa))il kii aamad
aamad hai
kih ;Gair-e jalvah-e gul rah-guzar me;N ;xaak nahii;N
bhalaa use nah sahii kuchh mujhii ko
ra;hm aataa
a;sar mire nafas-e be-a;sar me;N ;xaak nahii;N
;xayaal-e jalvah-e gul se ;xaraab hai;N
mai-kash
sharaab-;xaane ke diivaar-o-dar me;N ;xaak nahii;N
hu))aa huu;N ((ishq kii ;Gaarat-garii
se sharmindah
sivaa-e ;hasrat-e ta((miir ghar me;N ;xaak nahii;N
hamaare shi((r hai;N ab .sirf dillagii
ke asad
khulaa kih faa))idah ((ar.z-e hunar me;N ;xaak nahii;N