ga))ii vuh baat kih ho guft-go to kyuu;Nkar
ho
kahe se kuchh nah hu))aa phir kaho to kyuu;Nkar ho
hamaare ;zahn me;N us fikr kaa hai naam
vi.saal
kih gar nah ho to kahaa;N jaa))e;N ho to kyuu;Nkar ho
adab hai aur yihii kashmakash to kyaa
kiije
;hayaa hai aur yihii gomago to kyuu;Nkar ho
tumhii;N kaho kih guzaaraa .sanam-parasto;N
kaa
buto;N kii ho agar aisii hii ;xo to kyuu;Nkar ho
ulajhte ho tum agar dekhte ho aa))iinah
jo tum se shahr me;N ho;N ek do to kyuu;Nkar ho
jise na.siib ho roz-e siyaah meraa saa
vuh sha;x.s din nah kahe raat ko to kyuu;Nkar ho
hame;N phir un se umiid aur u;Nhe;N
hamaarii qadr
hamaarii baat hii puuchhe;N nah vo to kyuu;Nkar ho
;Gala:t nah thaa hame;N ;xa:t par gumaa;N
tasallii kaa
nah maane diidah-e diidaar-jo to kyuu;Nkar ho
bataa))o us mizhah ko dekh kar kih mujh
ko qaraar
yih nesh ho rag-e jaa;N me;N faro to kyuu;Nkar ho
mujhe junuu;N nahii;N ;Gaalib vale bah
qaul-e ;hu.zuur
firaaq-e yaar me;N taskiin ho to kyuu;Nkar ho