ibn-e maryam hu))aa kare ko))ii
mere dukh kii davaa kare ko))ii
shar((-o-aa))iin par madaar sahii
aise qaatil kaa kyaa kare ko))ii
chaal jaise ka;Rii kamaan kaa tiir
dil me;N aise ke jaa kare ko))ii
baat par vaa;N zabaan ka;Ttii hai
vuh kahe;N aur sunaa kare ko))ii
bak rahaa huu;N junuu;N me;N kyaa kyaa
kuchh
kuchh nah samjhe ;xudaa kare ko))ii
nah suno gar buraa kahe ko))ii
nah kaho gar buraa kare ko))ii
rok lo gar ;Gala:t chale ko))ii
ba;xsh do gar ;xa:taa kare ko))ii
kaun hai jo nahii;N hai ;haajat-mand
kis kii ;haajat ravaa kare ko))ii
kyaa kiyaa ;xi.zr ne sikandar se
ab kise rah-numaa kare ko))ii
jab tavaqqu(( hii u;Th ga))ii ;Gaalib
kyuu;N kisii kaa gilaa kare ko))ii