(1c) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (1c)* -- *back to text section (1b)*
*u990 cont'd* jis samāj meñ rāt din maḥnat karne vāloñ kī ḥālat un kī ḥālat se kuchh bahut achchhī nah thī , aur kisānoñ ke muqābile meñ vuh log jo kisānoñ kī kamzoriyoñ se fāʾidah uṭhānā jānte the , kahīñ ziyādah fāriġh ul-bāl the , vahāñ is qism kī żahniyat kā paidā ho jānā koʾī taʿajjub kī bāt nah thī - ham to kaheñge ghīsū kisānoñ ke muqābile meñ ziyādah bārīk-bīn thā - aur kisānoñ kī tahī-dimāġh jamʿiyat meñ shāmil hone ke badle shāt̤iroñ kī fitnah-pardāz jamāʿat meñ shāmil ho gayā thā - hāñ us meñ yih ṣalāḥiyat nah thī kih shāt̤iroñ ke āʾīn-o-ādāb kī pābandī bhī kartā - isliʾe jahāñ us kī jamāʿat ke aur log gāñvoñ ke sarġhanah aur mukhiyā bane huʾe the , us par sārā gāʾoñ angusht-numāʾī kartā thā - phir bhī use yih taskīn to thī hī kih agar vuh ḳhastah-ḥāl hai to kam se kam use kisānoñ kī sī jigar-toṛ maḥnat to nahīñ karnī paṛtī - aur us kī sādagī aur be-zabānī se dūsre be-jā fāʾidah to nahīñ uṭhāte -
donoñ ālū nikāl nikāl kar jalte jalte khāne lage - kal se kuchh nahīñ khāyā thā - itnā ṣabr nah thā kih unheñ ṭhañḍā ho jāne deñ - kaʾī bār donoñ kī zabāneñ jal gaʾīñ - chhil jāne par ālū kā berūnī ḥiṣṣah to bahut ziyādah garm nah maʿlūm hotā - lekin dāñtoñ ke tale paṛte hī andar kā ḥiṣṣah zabān aur ḳhalq aur tālū ko jalā detā thā - aur us añgāre ko muñh meñ rakhne se ziyādah ḳhairiyat isī meñ thī kih vuh andar pahuñch jāʾe - vahāñ use ṭhañḍā karne ke liʾe kāfī sāmān the - isliʾe donoñ jald jald nigal jāte - ḥālāñkih is koshish meñ un kī āñkhoñ se āñsū nikal āte -
*to translation section (1c)* -- *on to text section (1d)*
-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --