(1d) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (1d)* -- *back to text section (1c)*
*u990 cont'd* ghīsū ko us vaqt ṭhakur kī barāt yād āʾī jis meñ bīs sāl pahle vuh gayā thā - us daʿvat meñ use jo serī naṣīb huʾī thī vuh us kī zindagī meñ ek yādgār vāqiʿah thī - aur āj bhī us kī yād tāzah thī - bolā , " vuh bhoj nahīñ bhūltā - tab se phir us t̤araḥ kā khānā aur bhar-peṭ nahīñ milā - laṛkī vāloñ ne sab ko pūṛiyāñ khilāʾī thīñ -- sab ko - chhoṭe baṛe , sab ne pūṛiyāñ khāʾīñ , aur aṣlī ghī kī - chaṭnī , rāʾitah , tīn t̤araḥ ke sūkhe sāg - ek rasedār tarkārī , dahī , chaṭnī , miṭhāʾī - ab kyā batāʾūñ kih us bhoj meñ kitnā svād milā - *u991* koʾī rok nahīñ thī - jo chīz chāho māñgo - aur jitnā chāho khāʾo - logoñ ne aisā khāyā , aisā khāyā , kih kisī se pānī nah piyā gayā - magar parosne vale haiñ kih sāmne garm garm , gol gol , mahaktī huʾī kachoṛiyāñ ḍāle dete haiñ - manʿa karte haiñ kih nahīñ chāhiʾe - pattal ko hāth se roke huʾe haiñ - magar vuh haiñ kih diʾe jāte haiñ - aur jab sab ne muñh dho liyā to ek ek bīṛā pān bhī milā - magar mujhe pān lene kī kahāñ sudh thī - khaṛā nah jātā thā - chaṭ-paṭ jā kar apne kambal par leṭ gayā - aisā daryā-dil thā vuh ṭhākur -"
mādhav ne un takallufāt kā mazah lete huʾe kahā , "ab hameñ koʾī aisā bhoj khilātā -"
" ab koʾī kyā khilāʾegā , vuh jamānā dūsrā thā - ab to sab ko kiphāyat sūjhtī hai - sādī meñ mat kharch karo - karyā-kram meñ mat kharch karo - pūchho garīboñ kā māl baṭor baṭor kar kahāñ rakhoge ! baṭorne meñ to kamī nahīñ hai - hāñ kharch meñ kiphāyat sūjhtī hai -"
" tum ne ek bīs pūṛiyāñ khāʾī hoñgī ! "
" bīs se jiyādah khāʾī thīñ -"
" maiñ pachās khā jātā -"
" pachās se kam maiñ ne bhī nah khāʾī hoñgī - achchā paṭṭhā thā - tū us kā ādhā bhī nahīñ hai -"
khā kar donoñ ne pānī piyā aur vuhīñ alāʾo ke sāmne apnī dhotiyāñ oṛh kar , pāʾoñ peṭ meñ ḍāle so rahe , jaise do baṛe baṛe azhdar geñḍliyāñ māre paṛe hoñ -
aur budhiyā abhī tak karāh rahī thī -
*to translation section (1d)* -- *on to text section (2a)*
-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --