(2a) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (2a)* -- *back to text section (1d)*

*u991 cont'd* ṣubḥ ko mādhav ne koṭhrī meñ jā kar dekhā to us kī bīvī ṭhañḍī ho gaʾī thī - us ke muñh par makkhiyāñ *note1* bhanak rahī thīñ - patharāʾī huʾī āñkheñ ūpar ṭañgī huʾī thīñ - sārā jism ḳhāk meñ lat-pat thā - us ke peṭ meñ bachchah mar gayā thā -

mādhav bhāgā huʾā ghīsū ke pās āyā - phir donoñ zor zor se hāʾe hāʾe karne aur chhātī pīṭne lage - *u992* paṛos vāloñ ne yih āh-o-zārī sunī to dauṛe huʾe āʾe aur rasm-e qadīm ke mut̤ābiq ġham-zadoñ kī tashaffī karne lage -

magar ziyādah rone-dhone kā mauqaʿh nah thā - kafan kī aur lakṛī kī fikr karnī thī - ghar meñ to paisah isī t̤araḥ ġhāʾib thā jaise chīl ke ghoñsle meñ māñs -

bāp beṭe rote huʾe gāʾoñ ke zamīndār ke pās gaʾe - vuh un donoñ kī ṣūrat se nafrat karte the - kaʾī bār unheñ apne hāthoñ pīṭ chuke the , chorī kī ʿillat meñ , vaʿdah par kām par nah āne kī ʿillat meñ - pūchhā , " kyā hai be ghisuvā - rotā kyūñ hai - ab to terī ṣūrat hī nahīñ naz̤ar ātī - ab maʿlūm hotā hai tum is gāʾoñ meñ rahnā nahīñ chāhte -"

ghisū ne zamīn par sar rakh kar āñkhoñ meñ āñsū bhare huʾe kahā , " sarkār baṛī bipat meñ hūñ - mādhav kī ghar-vālī rat gujar gaʾī - din bhar taṛaptī rahī sarkār - ādhī rāt tak ham donoñ us ke sirhāne baiṭhe rahe - davā dārū jo kuchh ho sakā sab kiyā - magar vuh hameñ dagā de gaʾī - ab koʾī ek roṭī dene vālā nahīñ rahā - mālik , tabāh ho gaʾe - ghar ujaṛ gayā - āp kā gulām hūñ - ab āp ke sivā us kī miṭṭī kaun pār lagāʾegā - hamāre hāth meñ to jo kuchh thā vuh sab davā dārū meñ uṭh gayā - sarkār hī kī dayā hogī to us kī miṭṭī uṭhegī - āp ke sivā aur kis ke dvār par jāʾuñ - "

*to translation section (2a)* -- *on to text section (2b)*


*note1* -- I insert makkhiyāñ to correct an obvious error of omission in the original Urdu text.


-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --