(2b) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (2b)* -- *back to text section (2a)*
*u992 cont'd* zamīndār ṣāḥib raḥm-dil ādmī the - magar ghīsū par raḥm karnā kāle kambal par rang chaṛhnā thā - jī meñ to āyā kah deñ , " chal , dūr ho yahāñ se - *lāsh ghar meñ rakh kar saṛā* - yūñ to bulāne se bhī nahīñ ātā - āj jab ġharaẓ paṛī to ā kar ḳhvushāmad kar rahā hai - ḥarām-ḳhor kahīñ kā - badmaʿāsh - " magar yih ġhuṣṣah yā intiqām kā mauqaʿh nah thā - t̤auhʿaṅ-o-karhaṅ do rūpaʾe nikāl kar pheñk diʾe - magar tashaffī kā ek kalmah bhī muñh se nah nikālā - us kī t̤araf tākā tak nahīñ - goyā sar kā bojh utārā ho -
jab zamīndār ṣāḥib ne do rūpayah diʾe to gāʾoñ ke baniʾe mahājanoñ ko inkār kī jur:āt kyūñkar hotī - ghīsū zamīndār ke nām kā ḍhañḍhorā pīṭnā jāntā thā - kisī ne do āne diʾe , kisī ne chār āne - *u993* ek ghañṭah meñ ghīsū ke pās pāñch rūpaʾe kī maʿqūl raqm jamʿa ho gaʾī - kisī ne ġhallah de diyā , kisī ne lakṛī - aur dopahar ko ghīsū aur mādhav bāzār se kafan lāne chale - idhar log bāñs-vāñs kāṭne lage -
gāʾoñ kī raqīq ul-qalb ʿaurateñ lāsh ā ā kar lāsh ko dekhtī thīñ , aur us ke be-basī par do būñd āñsū girā kar chalī jātī thīñ -
*to translation section (2b)* -- *on to text section (3a)*
-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --