(3a) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (3a)* -- *back to text section (2b)*
*u993 cont'd* bāzār meñ pahuñch kar ghīsū bolā , " lakṛī to use jalāne bhar ko mil gaʾī hai , kyūñ mādhav - "
mādhav bolā , " hāñ lakṛī to bahut hai - ab kaphan chāhiʾe -"
" to koʾī halkā-sā kaphan le leñ -"
" hāñ aur kyā - lāsh uṭhte uṭhte rāt ho jāʾegī - rāt ko kaphan kaun dekhtā hai -"
" kaisā burā rivāj hai kih jise jīte-jī tan ḍhāñkne ko chīthṛā bhī nah mile use marne par nayā kaphan chāhiʾe -"
" kaphan lās ke sāth jal hī to jātā hai -"
" aur kyā rakhā rahtā hai - yihī pāñch rūpayah milte to kuchh davā dārū karte -"
donoñ ek dūsre ke dil kā mājrā maʿnavī t̤aur par samajh rahe the - bāzār meñ idhar udhar ghūmte rahe - [kabhī is bajāj kī dūkān par gaʾe kabhī us kī dūkān par - t̤araḥ t̤araḥ ke kapṛe , reshmī aur sūtī , dekhe , magar kuchh jañchtā nahīñ -] yahāñ tak kih shām ho gaʾī - donoñ ittifāq se yā ʿamdaṅ ek sharāb-ḳhāne ke sāmne ā pahuñche - aur goyā kisī t̤ay-shudah faiṣle ke mut̤ābiq andar gaʾe - vahāñ żarā der tak donoñ tażabżub kī ḥālat meñ khaṛe rahe - [phir ghīsū ne gaddī ke sāmne jā kar kahā , " sāhū-jī ek botal hameñ bhī denā - "] *phir ghīsū ne ek botal sharāb lī *note1*, kuchh gazak -* - [is ke baʿd kuchh chiḳhaunah āyā, talī huʾī machhlī āʾī] - aur donoñ barāmde meñ baiṭh kar [shāntīpūrvak] pīne lage -
*to translation section (3a)* -- *on to text section (3b)*
-- "The Shroud" index page
-- *Platts Dictionary Online* -- FWP's
main page --