(3b) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (3b)* -- *back to text section (3a)*
*u993 cont'd* kaʾī kujjiyāñ paiham pīne ke baʿd donoñ surūr meñ ā gaʾe -
ghīsū bolā , " kaphan lagāne se kyā miltā - ākhir jal hī to jātā - kuchh bahū ke sāth to nah jātā -"
mādhav āsmān ki t̤araf dekh kar bolā , goyā farishtoñ ko apnī maʿṣūmiyat kā yaqīn dilā rahā ho , " duniyā kā dastūr hai - yihī log bāmhanoñ ko hajāroñ rupaʾe kyūñ de dete haiñ - kaun dekhtā hai parlok meñ miltā *u994* hai yā nahīñ -"
" baṛe ādmiyoñ ke pās dhan hai, phūñkeñ - hamāre pās phūñkne ko kyā hai - "
" lekin logoñ ko javāb kyā doge ! log pūcheñge nahīñ , kaphan kahāñ hai ! "
ghīsū hañsā - " kah deñge rūpaʾe kamar se khisak gaʾe - bahut ḍhūñḍā , mile nahīñ - [logoñ ko vishvās nah āʾegā , lekin phir vuhī rūpayah deñge -] "
mādhav bhī hañsā , is ġhair-mutavaqquʿ ḳhvush-naṣībī par , *qudrat ko is t̤araḥ shikast dene par -* bolā , " baṛī achchhī thī , bichārī - marī bhī to ḳhūb khilā pilā kar -"
ādhī botal se ziyādah ḳhatm ho gaʾī - ghīsū ne do ser pūṛiyāñ mangvāʾīñ , gosht aur sālan - aur chaṭpaṭ kalejiyāñ aur talī huʾī machhliyāñ - sharāb-ḳhāne ke sāmne hī dūkān thī - mādhav lapak kar do pattaloñ meñ sārī chīzeñ le āyā - pūre ḍeṛh rūpaʾe ḳharch ho gaʾe - ṣirf thoṛe-se paise bach rahe -
*to translation section (3b)* -- *on to text section (3c)*
-- "The Shroud" index page
-- *Platts Dictionary Online* -- FWP's
main page --