(3c) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].
*to translation section (3c)* -- *back to text section (3b)*
*u994 cont'd* donoñ us vaqt is shān se baiṭhe huʾe pūṛiyāñ khā rahe the jaise jañgal meñ koʾī sher apnā shikār uṛā rahā ho - nah javāb-dihī kā ḳhauf thā , nah badnāmī kī fikr - ẓuʿf ke un murāḥil ko unhoñne bahut pahle t̤ay kar liyā thā - ghīsū falsafiyānah andāz se bolā , " hamārī ātmā prasann ho rahī hai to kyā use punn nah hogā ? "
mādhav ne farq-e ʿaqīdat jhukā kar taṣdīq kī - " jarūr se jarūr hogā - bhagvān , tum antarjāmī ( ʿalīm ) ho - use baikuñṭh le jānā - ham donoñ hride se use duʿā de rahe haiñ - āj jo bhojan milā vuh kabhī ʿumr bhar nah milā thā -"
ek lamḥah ke baʿd mādhav ke dil meñ ek tashvīsh paidā huʾī - bolā , " kyūñ dādā , ham log bhī to vahāñ ek nah ek din jāʾeñge hī -"
ghīsū ne is t̤iflānah savāl kā javāb nah diyā - *mādhav kī t̤araf pur-malāmat andāz se dekhā -* [vuh parlok kī bāteñ soch kar is ānand meñ bādhā nah ḍālnā chāhtā thā -]
" jo vahāñ ham logoñ se vuh pūche kih tum ne hameñ kaphan kyūñ nahīñ diyā to kyā kahoge ? "
" kaheñge tumhārā sar -"
" pūchegī to jarūr -"
*u995* " tū kaise jāntā hai use kaphan nah milegā ? tū mujhe aisā gadhā samajhtā hai ! maiñ sāṭh sāl duniyā meñ kyā ghās khodtā rahā hūñ - us ko kaphan milegā [aur bahut achchhā milegā -] *us se bahut achchā milegā jo ham dete -* "
mādhav ko yaqīn nah āyā - bolā , " kaun degā ? rūpaʾe to tum ne chaṭ kar diʾe -"
ghīsū tez ho gayā - " maiñ kahtā hūñ use kaphan milegā - tū māntā kyūñ nahīñ ?"
" kaun degā , batāte kyūñ nahīñ ? [vuh to mujh se pūchhegī - us kī māñg meñ to sindūr maiñ ne ḍālā thā] -"
" vuhī log deñge jinhoñ ne ab kī diyā - hāñ vuh rūpaʾe hamāre hāth nah āʾeñge - *aur agar kisī t̤araḥ ā jāʾeñ to phir ham isī t̤araḥ yahāñ baiṭhe piyeñge - aur kaphan tīsrī bār milegā -* "
*to translation section (3c)* -- *on to text section (3d)*
-- "The Shroud" index page
-- *Platts Dictionary Online* -- FWP's
main page --