ghazal |
dekhegaa jo tujh ruu ko so ;hairaan rahegaa
vaabastah tire muu kaa pareshaan rahegaa
va((dah to kiyaa us se dam-e .sub;h kaa lekin
us dam ta))ii;N mujh me;N bhii agar jaan rahegaa
mun((im ne binaa :zulm kii rakh ghar to banaayaa
par aap ko))ii raat hii mihmaan rahegaa
chhuu;Tuu;N kahii;N ii;zaa se lagaa ek hii jallaad
taa ;hashr mire sar pah yih a;hsaan rahegaa
chim;Te rahe;Nge dasht-e mu;habbat me;N sar-o-te;G
ma;hshar ta))ii;N ;xaalii nah yih maidaan rahegaa
jaane kaa nahii;N shor su;xan kaa mire hargiz
taa ;hashr jahaa;N me;N miraa diivaan rahegaa
dil dene kii aisii ;harakat un ne nahii;N kii
jab tak jiyegaa miir pashemaan rahegaa