ghazal |
jo is shor se miir rotaa rahegaa
to hamsaayah kaahe ko sotaa rahegaa
mai;N vuh rone-vaalaa jahaa;N se chalaa huu;N
jise abr har saal rotaa rahegaa
mujhe kaam rone se ak;sar hai naa.si;h
tuu kab tak mire mu;Nh ko dhotaa rahegaa
bas ai giryah aa;Nkhe;N tirii kyaa nahii;N hai;N
kahaa;N tak jahaa;N ko ;Dubotaa rahegaa
mire dil ne vuh naalah paidaa kiyaa hai
jaras ke bhii jo hosh khotaa rahegaa
tuu yuu;N gaaliyaa;N ;Gair ko shauq se de
hame;N kuchh kahegaa to hotaa rahegaa
bas ai miir mizhgaa;N se po;Nchh aa;Nsuu))o;N ko
tuu kab tak yih motii parotaa rahegaa
Translations