ghazal |
dil ke ma((muure kii mat kar fikr fur.sat chaahiye
aise viiraane ke ab basne ko muddat chaahiye
((ishq-o-mai-;xvaarii nibhe hai ko))ii darveshii ke biich
us :tara;h ke ;xarch-e laa-;haa.sil ko daulat chaahiye
((aaqibat farhaad mar kar kaam apnaa kar gayaa
aadmii hove kisii peshe me;N jur))at chaahiye
ho :taraf mujh pahlvaa;N shaa((ir kaa kab ((aajiz su;xan
saamne hone ko .saa;hib fan ke qudrat chaahiye
((ishq me;N va.sl-o-judaa))ii se nahii;N kuchh guft-guu
qurb-o-bu((d us jaa baraabar hai mu;habbat chaahiye
naazukii ko ((ishq me;N kyaa da;xl hai ai buu al-havas
yaa;N .su((uubat khe;Nchne ko jii me;N :taaqat chaahiye
tang mat ho ibtidaa-e ((aashiqii me;N is qadar
;xairiyat hai miir .saa;hib dil salaamat chaahiye