ghazal |
;xvush sar-anjaam the ve jald jo hushyaar hu))e
ham to ai ham-nafasaa;N der ;xabar-daar hu))e
be-qaraarii se dil-e zaar kii aazaar hu))e
;xvaahish is ;had ko khi;Nchii aah kih biimaar hu))e
jins-e dil dono;N jahaa;N jis kii bahaa thii us kaa
yak nigah mol hu))aa tum nah ;xariidaar hu))e
((ishq vuh hai kih jo the ;xalvatii-e manzil quduus
ve bhii rusvaa-e sar-e kuuchah-o-baazaar hu))e
sair-e gulzaar mubaarak ho .sabaa ko ham to
ek parvaaz nah kii thii kih giriftaar hu))e
us sitamgaar ke kuuche ke havaa-daaro;N me;N
naam firdaus kaa ham le ke gunahgaar hu))e
va((dah-e ;hashr to mauhuum nah samjhe ham aah
kis tavaqqu(( pah tire :taalib-e diidaar hu))e
sustii-e ba;xt to ;Tuk dekh kih is chaahat par
mu((tamid ;Gair hu))e ham nah vafaadaar hu))e
miir .saa;hib se ;xudaa jaane hu))ii kyaa taq.siir
jis se is :zulm-e numaayaa;N ke sazaa-vaar hu))e
Translations