ghazal |
piirii me;N kyaa javaanii ke mausam ko ro))iye
ab .sub;h hone aa))ii hai ik dam to so))iye
ru;xsaar us ke haa))e re jab dekhte hai;N ham
aataa hai jii me;N aa;Nkho;N ko un me;N ga;Ro))iye
i;xlaa.s-e dil se chaahiye sijdah namaaz me;N
be-faa))idah hai varnah jo yuu;N vaqt kho))iye
kis :taur aa;Nsuu))o;N me;N nahaate hai;N ;Gam-kashaa;N
us aab-e garm me;N to nah u;Nglii ;Dubo))iye
ma:tlab ko to pahunchte nahii;N andhe ke se :taur
ham maarte phire hai;N yuu;N-hii ;Tappe ;To))iye
ab jaan jism-e ;xaakii se tang aa ga))ii bahut
kab tak is ek ;Tokrii mi;T;Tii ko ;Dho))iye
aaluudah us galii kii jo ho;N ;xaak se to miir
aab-e ;hayaat se bhii nah ve paa))o;N dho))iye
Translations