ghazal |
jaa;N-gudaaz itnii kahaa;N aavaaz-e ((uud-o-chang hai
dil ke se naalo;N kaa un pardo;N me;N kuchh aahang hai
ruu-o-;xaal-o-zulf hii hai;N sunbul-o-sabzah-o-gul
aa;Nkhe;N ho;N to yih chaman aa))iinah-e nairang hai
chashm-e kam se dekh mat qumrii to us ;xvush-qad ko ;Tuk
aah bhii sarv-e gulistaan-e shikast-e rang hai
sarsarii kuchh sun liyaa phir vaah vaa kar u;Th ga))e
shi((r yih kam-fahm samjhe hai;N ;xayaal-e bang hai