ghazal |
kab lu:tf-e zabaanii kuchh us ;Gunchah-dahan kaa thaa
barso;N mile par ham se .sarfah hii su;xan kaa thaa
asbaab muhaiyaa the sab marne hii ke lekin
ab tak nah muve ham jo andeshah kafan kaa thaa
bulbul ko muvaa paayaa kal phuulo;N kii duukaa;N par
us mur;G ke bhii jii me;N kyaa shauq chaman kaa thaa
be-;Dol qadam teraa pa;Rtaa thaa la;Rakpan me;N
ronaa hame;N avval hii us tere chalan kaa thaa
mur;Gaan-e qafas saare tasbii;h me;N the gul kii
har chand kih har ik kaa ;Dhalkaa hu))aa mankaa thaa
sab sa:t;h hai paanii kaa aa))iine kaa saa ta;xtah
daryaa me;N kahii;N shaayad ((aks us ke badan kaa thaa
;xuu-gar nahii;N ham yuu;N hii kuchh re;xtah kahne se
ma((shuuq jo apnaa thaa baashindah dakan kaa thaa
bhau))o;N ta))ii;N tum jis din saj nikle the ik paichah
us din hii tumhe;N dekhe maathaa miraa ;Thankaa thaa
rah miir ;Gariibaanah jaataa thaa chalaa rotaa
har gaam gilah lab par yaaraan-e va:tan kaa thaa
Translations