ghazal |
kal dil-aazurdah gulistaa;N se gu;zar ham ne kiyaa
gul lage kahne kaho mu;Nh nah udhar ham ne kiyaa
kar ga))ii ;xvaab se bedaar tumhe;N .sub;h kii baa))o
be-dimaa;G itne jo ho ham pah magar ham ne kiyaa
siidhe talvaar ke mu;Nh par tirii ham aa))e chale
kyaa kare;N is dil-e ;xastah ko sipar ham ne kiyaa
niimchah haath me;N mastii se lahuu sii aa;Nkhe;N
saj tirii dekh ke ai sho;x ;ha;zar ham ne kiyaa
paa))o;N ke niiche kii mi;T;Tii bhii nah hogii ham sii
kyaa kahe;N ((umr ko is :tar;h basar ham ne kiyaa
khaa gayaa naa;xun-e sar-tez jigar dil dono;N
raat kii siinah-;xaraashii me;N hunar ham ne kiyaa
kaam un ho;N;To;N se vuh le jo ko))ii ham saa ho
dekhte dekhte hii aa;Nkho;N me;N ghar ham ne kiyaa
jaise ;hasrat liye jaataa hai jahaa;N se ko))ii
aah yuu;N kuuchah-e dil-bar se safar ham ne kiyaa
baare kal ;Thair ga))e :zaalim-e ;xuu;N-;xvaar se ham
mun.sifii kiije to kuchh kam nah jigar ham ne kiyaa
us ru;x-o-zulf kii tasbii;h hai yaa;N ak;sar miir
vird apnaa yihii ab shaam-o-sa;har
ham ne kiyaa
Translations