ghazal
{897}

 
 

*{897,1}

ai mujh se tujh ko sau mile tujh saa nah paayaa ek mai;N
sau sau kahii;N tuu ne mujhe mu;Nh par nah laayaa ek mai;N

{897,2}

((aalam kii mai;N ne sair kii mujh ko jo ;xvush aayaa so tuu
sab se rahaa ma;h:zuu:z tuu tujh ko nah bhaayaa ek mai;N

{897,3}

yih josh-e ;Gam hote bhii hai;N yuu;N abr-e tar rote bhii hai;N
chashm-e jahaa;N-aashob se daryaa bahaayaa ek mai;N

*{897,4}

thaa sab ko da((v;aa ((ishq kaa lekin nah ;Thahraa ko))ii bhii
daanistah apnii jaan se dil ko u;Thaayaa ek mai;N

{897,5}

hai;N :taalib-e .suurat sabhii mujh par sitam kyuu;N is qadar
kyaa mujrim-e ((ishq-e butaa;N yaa;N huu;N ;xudaa yaa ek mai;N

*{897,6}

bijlii se yuu;N chamke bahut par baat kahte ho chuke
juu;N abr saarii ;xalq par huu;N ab to chhaayaa ek mai;N

*{897,7}

sau rang vuh :zaahir hu))aa ko))ii nah jaagah se gayaa
dil ko jo mere cho;T thii :taaqat nah laayaa ek mai;N

{897,8}

is gulsitaa;N se manfa((at yuu;N to hazaaro;N ko hu))ii
dekhaa nah sarv-o-gul kaa yaa;N ;Tuk sar pah saayah ek mai;N

{897,9}

rasm-e kuhan hai dostii hotii bhii hai ulfat baham
mai;N kushtanii ;Thahraa jo huu;N kyaa dil lagaayaa ek mai;N

{897,10}

jin jin ne dekhaa thaa use be-;xvud hu))aa chetaa bhii phir
par miir jiite-jii bah-;xvud hargiz nah aayaa ek mai;N