bazm-e shaahinshaah me;N ash((aar kaa daftar khulaa
rakhyo yaa rab yih dar-e ganjiinah-e gauhar khulaa
shab hu))ii phir anjum-e ra;xshandah kaa man:zar khulaa
is takalluf se kih goyaa but-kade kaa dar khulaa
garchih huu;N diivaanah par kyuu;N dost kaa khaa))uu;N fareb
aastii;N me;N dashnah pinhaa;N haath me;N nashtar khulaa
go nah samjhuu;N us kii baate;N go nah paa))uu;N us kaa bhed
par yih kyaa kam hai kih mujh se vuh parii-paikar khulaa
hai ;xayaal-e ;husn me;N ;husn-e ((amal kaa saa ;xayaal
;xuld kaa ik dar hai merii gor ke andar khulaa
mu;Nh nah khulne par vuh ((aalam hai kih dekhaa hii nahii;N
zulf se ba;Rh kar naqaab us sho;x ke mu;Nh par khulaa
dar pah rahne ko kahaa aur kah ke kaisaa phir gayaa
jitne ((ar.se me;N miraa lip;Taa hu))aa bistar khulaa
kyuu;N a;Ndherii hai shab-e ;Gam hai
balaa))o;N kaa nuzuul
aaj udhar hii ko rahegaa diidah-e a;xtar khulaa
kyaa rahuu;N ;Gurbat me;N ;xvush jab ho
;havaadi;s kaa yih ;haal
naamah laataa hai va:tan se naamah-bar ak;sar khulaa
us kii ummat me;N huu;N mai;N mere rahe;N kyuu;N kaam band
vaas:te jis shah ke ;Gaalib gunbad-e be-dar khulaa