baskih dushvaar hai har kaam kaa aasaa;N
honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii;N insaa;N honaa
giryah chaahe hai ;xaraabii mire kaashaane
kii
dar-o-diivaar se ;Tapke hai bayaabaa;N honaa
vaa))e diivaanagii-e shauq kih har dam
mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii ;hairaa;N honaa
jalvah az-baskih taqaa.zaa-e nigah kartaa
hai
jauhar-e aa))inah bhii chaahe hai mizhgaa;N honaa
((ishrat-e qatl-gah-e ahl-e tamannaa
mat puuchh
((iid-e na:z:zaarah hai shamshiir kaa ((uryaa;N honaa
le ga))e ;xaak me;N ham daa;G-e tamannaa-e
nashaa:t
tuu ho aur aap bah .sad-rang gulistaa;N honaa
((ishrat-e paarah-e dil za;xm-e tamannaa
khaanaa
la;z;zat-e resh-e jigar ;Garq-e namak-daa;N honaa
kii mire qatl ke ba((d us ne jafaa se
taubah
haa))e us zuud-pashemaa;N kaa pashemaa;N honaa
;haif us chaar girih kap;Re kii qismat
;Gaalib
jis kii qismat me;N ho ((aashiq kaa garebaa;N honaa