shab ḳhumār-e shauq-e sāqī rastḳhez-andāzah
thā
tā muḥīt̤-e bādah ṣūrat-ḳhānah-e ḳhamyāzah thā
yak qadam vaḥshat se dars-e daftar-e
imkāñ khulā
jādah ajzā-e do-ʿālam-dasht kā shīrāzah thā
mānaʿ-e vaḥshat-ḳhirāmīhā-e lailâ
kaun hai
ḳhānah-e majnūn-e ṣaḥrā-gard be-darvāzah thā
pūchh mat rusvāʾī-e andāz-e istiġhnā-e
ḥusn
dast marhūn-e ḥinā ruḳhsār rahn-e ġhāzah thā
nālah-e dil ne diye aurāq-e laḳht-e
dil bah bād
yādgār-e nālah ik dīvān-e be-shīrāzah thā
hūñ chirāġhān-e
havas jūñ kāġhaż-e ātish-zadah
dāġh garm-e koshish-e ījād-e dāġh-e tāzah thā
be-navāʾī
tar ṣadā-e naġhmah-e shuhrat asad
boriyā yak naisitāñ-ʿālam buland āvāzah thā