aa))iinah dekh apnaa-saa mu;Nh le ke
rah gaye
.saa;hib ko dil nah dene pah kitnaa ;Guruur thaa
qaa.sid ko apne haath se gardan nah
maariye
us kii ;xa:taa nahii;N hai yih meraa qa.suur thaa
.zu((f-e junuu;N ko vaqt-e tapish dar
bhii duur thaa
ik ghar me;N mu;xta.sar-saa bayaabaa;N .zaruur thaa
ai vaa))e ;Gaflat-e nigah-e shauq varnah
yaa;N
har paarah sang la;xt-e dil-e koh-e :tuur thaa
dars-e tapish hai barq ko ab jis ke
naam se
vuh dil hai yih kih jis kaa ta;xallu.s .sabuur thaa
har rang me;N jalaa asad-e fitnah-inti:zaar
parvaanah-e tajallii-e sham((-e :zuhuur thaa