balaa se hai;N jo bah pesh-e na:zar
dar-o-diivaar
nigaah-e shauq ko hai;N baal-o-par dar-o-diivaar
vufuur-e ashk ne kaashaane kaa kiyaa
yih rang
kih ho ga))e mire diivaar-o-dar dar-o-diivaar
nahii;N hai saayah kih sun kar naved-e
maqdam-e yaar
ga))e hai;N chand qadam peshtar dar-o-diivaar
hu))ii hai kis qadar arzaanii-e mai-e
jalvah
kih mast hai tire kuuche me;N har dar-o-diivaar
jo hai tujhe sar-e saudaa-e inti:zaar
to aa
kih hai;N dukaan-e mataa((-e na:zar dar-o-diivaar
hujuum-e giryah kaa saamaan kab kiyaa
mai;N ne
kih gir pa;Re nah mire paa;Nv par dar-o-diivaar
vuh aa rahaa mire hamsaaye me;N to
saaye se
hu))e fidaa dar-o-diivaar par dar-o-diivaar
na:zar me;N kha;Tke hai bin tere ghar
kii aabaadii
hameshah rote hai;N ham dekh kar dar-o-diivaar
nah puuchh be-;xvudii-e ((aish-e maqdam-e
sailaab
kih naachte hai;N pa;Re sar bah sar dar-o-diivaar
nah kah kisii se kih ;Gaalib nahii;N
zamaane me;N
;hariif-e raaz-e mu;habbat magar dar-o-diivaar