nah gul-e na;Gmah huu;N nah pardah-e
saaz
mai;N huu;N apnii shikast kii aavaaz
tuu aur aaraa))ish-e ;xam-e kaakul
mai;N aur andeshah'haa-e duur-daraaz
laaf-e tamkii;N fareb-e saadah-dilii
ham hai;N aur raaz'haa-e siinah-gudaaz
huu;N giriftaar-e ulfat-e .saiyaad
varnah baaqii hai :taaqat-e parvaaz
vuh bhii din ho kih us sitam-gar se
naaz khe;Nchuu;N bajaa-e ;hasrat-e naaz
nahii;N dil me;N mire vuh qa:trah-e
;xuu;N
jis se mizhgaa;N hu))ii nah ho gul-baaz
ai tiraa ;Gamzah yak-qalam angez
ai tiraa :zulm sar bah sar andaaz
tuu hu))aa jalvah-gar mubaarak ho
rezish-e sijdah-e jabiin-e niyaaz
mujh ko puuchhaa to kuchh ;Ga.zab nah
hu))aa
mai;N ;Gariib aur tuu ;Gariib-navaaz
asadull;aah ;xaa;N tamaam hu))aa
ai dare;Gaa vuh rind-e shaahid-baaz