ru;x-e nigaar se hai soz-e jaavidaanii-e
sham((a
hu))ii hai aatish-e gul aab-e zindagaanii-e sham((a
zabaan-e ahl-e zabaa;N me;N hai marg
;xaamoshii
yih baat bazm me;N raushan hu))ii zabaanii-e sham((a
kare hai .sirf bah iimaa-e shu((lah
qi.s.sah tamaam
bah :tarz-e ahl-e fanaa hai fasaanah-;xvaanii-e sham((a
;Gam us ko ;hasrat-e parvaanah kaa hai
ai shu((le
tire larazne se :zaahir hai naa-tavaanii-e sham((a
tire ;xayaal se ruu;h ihtizaaz kartii
hai
bah jalvah-rezii-e baad-o-bah par-fishaanii-e sham((a
nashaa:t-e daa;G-e ;Gam-e ((ishq kii
bahaar nah puuchh
shiguftagii hai shahiid-e gul-e ;xizaanii-e sham((a
jale hai dekh ke baaliin-e yaar par
mujh ko
nah kyuu;N ho dil pah mire daa;G-e bad-gumaanii-e sham((a