biim-e raqiib se nahii;N karte vidaa((-e
hosh
majbuur yaa;N talak hu))e ai i;xtiyaar ;haif
jaltaa hai dil kih
kyuu;N nah ham ik baar jal ga))e
ai naa-tamaamii-e nafas-e shu((lah-baar ;haif
naamah bhii likhte ho to bah ;xa:t:t-e ;Gubaar ;haif
rakhte ho mujh se itnii kuduurat hazaar ;haif
besh az nafas butaa;N ke karam ne vafaa nah kii
thaa ma;hmil-e nigaah bah dosh-e sharaar ;haif
thii mere hii jalaane ko ai aah-e shu((lah-rez
ghar par pa;Raa nah ;Gair ke ko))ii sharaar ;haif
hai;N merii musht-e ;xaak se us ko kuduurate;N
paa))ii jagah bhii dil me;N to ho kar ;Gubaar ;haif