yih ham jo hijr me;N diivaar-o-dar ko
dekhte hai;N
kabhii .sabaa ko kabhii naamah-bar ko dekhte hai;N
vuh aa))e ghar me;N hamaare ;xudaa kii
qudrat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko dekhte hai;N
na:zar lage nah kahii;N us ke dast-o-baazuu
ko
yih log kyuu;N mire za;xm-e jigar ko dekhte hai;N
tire javaahir-e :tarf-e kulah ko kyaa
dekhe;N
ham auj-e :taala((-e la((l-o-guhar ko dekhte hai;N