nahii;N kih mujh ko qiyaamat kaa i((tiqaad
nahii;N
shab-e firaaq se roz-e jazaa ziyaad nahii;N
ko))ii kahe kih shab-e mah me;N kyaa
buraa))ii hai
balaa se aaj agar din ko abr-o-baad nahii;N
jo aa))uu;N saamne un ke to mar;habaa
nah kahe;N
jo jaa))uu;N vaa;N se kahii;N ko to ;xair-baad nahii;N
kabhii jo yaad bhii aataa huu;N mai;N
to kahte hai;N
kih aaj bazm me;N kuchh fitnah-o-fasaad nahii;N
((alaavah ((iid ke miltii hai aur din
bhii sharaab
gadaa-e kuuchah-e mai-;xaanah naa-muraad nahii;N
jahaa;N me;N ho ;Gam-o-shaadii baham
hame;N kyaa kaam
diyaa hai ham ko ;xudaa ne vuh dil kih shaad nahii;N
tum un ke va((de kaa ;zikr un se kyuu;N
karo ;Gaalib
yih kyaa kih tum kaho aur vuh kahe;N kih yaad nahii;N