hai bazm-e butaa;N me;N su;xan aazurdah
labo;N se
tang aa))e hai;N ham aise ;xvushaamad-:talabo;N se
hai daur-e qada;h vaj'h-e pareshaanii-e
.sahbaa
yak-baar lagaa do ;xum-e mai mere labo;N se
rindaan-e dar-e mai-kadah gustaa;x hai;N
zaahid
zinhaar nah honaa :taraf un be-adabo;N se
bedaad-e vafaa dekh kih jaatii rahii
aa;xir
har-chand mirii jaan ko thaa rab:t labo;N se
mat puuchh asad ;Gu.s.sah-e kam-fur.satii-e ziist
do din bhii jo kaa;Te to qiyaamat ta((abo;N se