gar ;xaamushii se faa))idah i;xfaa-e
;haal hai
;xvush huu;N kih merii baat samajhnii mu;haal hai
kis ko sunaa))uu;N ;hasrat-e i:zhaar
kaa gilah
dil fard-e jam((-o-;xarj-e zabaa;Nhaa-e laal hai
kis parde me;N hai aa))inah-pardaaz
ai ;xudaa
ra;hmat kih ((u;zr-;xvaah-e lab-e be-savaal hai
hai hai ;xudaa nah ;xvaastah vuh aur
dushmanii
ai shauq-e munfa((il yih tujhe kyaa ;xayaal hai
mushkii;N libaas-e ka((bah ((alii ke
qadam se jaan
naaf-e zamiin hai nah kih naaf-e ;Gazaal hai
va;hshat pah merii ((ar.sah-e aafaaq
tang thaa
daryaa zamiin ko ((araq-e infi((aal hai
hastii ke mat fareb me;N aa jaa))iyo
asad
((aalam tamaam ;halqah-e daam-e ;xayaal hai
pahluu tihii nah kar ;Gam-o-andoh se asad
dil vaqf-e dard rakh kih faqiiro;N kaa maal hai