us bazm me;N mujhe nahii;N bantii ;hayaa
kiye
bai;Thaa rahaa agarchih ishaare hu))aa kiye
dil hii to hai siyaasat-e darbaa;N se
;Dar gayaa
mai;N aur jaa))uu;N dar se tire bin .sadaa kiye
rakhtaa phiruu;N huu;N ;xirqah-o-sajjaadah
rahn-e mai
muddat hu))ii hai da((vat-e aab-o-havaa kiye
be-.sarfah hii guzartii hai ho garchih
((umr-e ;xi.zr
;ha.zrat bhii kal kahe;Nge kih ham kyaa kiyaa kiye
maqduur ho to ;xaak se puuchhuu;N kih
ai la))iim
tuu ne vuh ganj'haa-e giraa;N-maayah kyaa kiye
kis roz tuhmate;N nah taraashaa kiye
((aduu
kis din hamaare sar pah nah aare chalaa kiye
.su;hbat me;N ;Gair kii nah pa;Rii ho
kahii;N yih ;xuu
dene lagaa hai bosah ba;Gair iltijaa kiye
.zid kii hai aur baat magar ;xuu burii
nahii;N
bhuule se us ne sai;Nk;Ro;N va((de vafaa kiye
;Gaalib tumhii;N kaho kih milegaa javaab
kyaa
maanaa kih tum kahaa kiye aur vuh sunaa kiye