garm-e faryaad rakhaa shakl-e nihaalii
ne mujhe
tab amaa;N hijr me;N dii bard-e liyaalii ne mujhe
nisyah-o-naqd-e do-((aalam kii ;haqiiqat
ma((luum
le liyaa mujh se mirii himmat-e ((aalii ne mujhe
ka;srat-aaraa))ii-e va;hdat hai parastaarii-e
vahm
kar diyaa kaafir in a.snaam-e ;xayaalii ne mujhe
havas-e gul ke ta.savvur me;N bhii kha;Tkaa
nah rahaa
((ajab aaraam diyaa be-par-o-baalii ne mujhe
zindagii me;N bhii rahaa ;zauq-e fanaa kaa maaraa
nashshah ba;xshaa ;Ga.zab us saa;Gar-e ;xaalii ne mujhe
baskih thii fa.sl-e ;xizaan-e chamanistaan-e su;xan
rang-e shuhrat nah diyaa taazah-;xayaalii ne mujhe
jalvah-e ;xvur se fanaa hotii hai shabnam ;Gaalib
kho diyaa sa:tvat-e asmaa-e
jalaalii ne mujhe