saadagii par us kii mar jaane kii ;hasrat
dil me;N hai
bas nahii;N chaltaa kih phir ;xanjar kaf-e qaatil me;N hai
dekhnaa taqriir kii la;z;zat kih jo
us ne kahaa
mai;N ne yih jaanaa kih goyaa yih bhii mere dil me;N hai
garchih hai kis kis buraa))ii se vale
baa ii;N hamah
;zikr meraa mujh se bahtar hai kih us ma;hfil me;N hai
bas hujuum-e naa-umiidii ;xaak me;N
mil jaa))egii
yih jo ik la;z;zat hamaarii sa((ii-e be-;haa.sil me;N hai
ranj-e rah kyuu;N khe;Nchiye vaa-maa;Ndagii
ko ((ishq hai
u;Th nahii;N saktaa hamaaraa jo qadam manzil me;N hai
jalvah-zaar-e aatish-e doza;x hamaaraa
dil sahii
fitnah-e shor-e qiyaamat kis kii aab-o-gil me;N hai
hai dil-e shoriidah-e ;Gaalib :tilism-e
pech-o-taab
ra;hm kar apnii tamannaa par kih kis mushkil me;N hai