taskii;N ko ham nah ro))e;N jo ;zauq-e
na:zar mile
;huuraan-e ;xuld me;N tirii .suurat magar mile
apnii galii me;N mujh ko nah kar dafn
ba((d-e qatl
mere pate se ;xalq ko kyuu;N teraa ghar mile
saaqii-garii kii sharm karo aaj varnah
ham
har shab piyaa hii karte hai;N mai jis qadar mile
tujh se to kuchh kalaam nahii;N lekin
ai nadiim
meraa salaam kahyo agar naamah-bar mile
tum ko bhii ham dikhaa))e;N kih majnuu;N
ne kyaa kiyaa
fur.sat kashaakash-e ;Gam-e pinhaa;N se gar mile
laazim nahii;N kih ;xi.zr kii ham pai-ravii
kare;N
jaanaa kih ik buzurg hame;N ham-safar mile
ai saakinaan-e kuuchah-e dildaar dekhnaa
tum ko kahii;N jo ;Gaalib-e aashuftah-sar mile