ko))ii din gar zindagaanii aur hai
apne jii me;N ham ne ;Thaanii aur hai
aatish-e doza;x me;N yih garmii kahaa;N
soz-e ;Gamhaa-e nihaanii aur hai
baar-haa dekhii hai;N un kii ranjishe;N
par kuchh ab ke sar-garaanii aur hai
de ke ;xa:t mu;Nh dekhtaa hai naamah-bar
kuchh to pai;Gaam-e zabaanii aur hai
qaa:ta((-e a((maar hai;N ak;sar nujuum
vuh balaa-e aasmaanii aur hai
ho chukii;N ;Gaalib balaa))e;N sab tamaam
ek marg-e naagahaanii aur hai