aa kih mirii jaan ko
qaraar nahii;N hai
:taaqat-e be-daad-e inti:zaar nahii;N hai
dete hai;N jannat
;hayaat-e dahr ke badle
nashshah bah andaazah-e ;xumaar nahii;N hai
giryah nikaale hai terii
bazm se mujh ko
haa))e kih rone pah i;xtiyaar nahii;N hai
ham se ((aba;s hai
gumaan-e ranjish-e ;xaa:tir
;xaak me;N ((ushshaaq kii ;Gubaar nahii;N hai
dil se u;Thaa lu:tf-e
jalvah'haa-e ma((aanii
;Gair-e gul aa))iinah-e bahaar nahii;N hai
qatl kaa mere kiyaa hai
((ahd to baare
vaa))e agar ((ahd ustuvaar nahii;N hai
tuu ne qasam mai-kashii
kii khaa))ii hai ;Gaalib
terii qasam kaa kuchh i((tibaar nahii;N hai