siimaab pusht-garmii-e aa))iinah de
hai ham
;hairaa;N kiye hu))e hai;N dil-e be-qaraar ke
aa;Gosh-e gul kushuudah baraa-e vidaa((
hai
ai ((andaliib chal kih chale din bahaar ke
yuu;N ba((d-e .zab:t-e ashk phiruu;N gird yaar ke
paanii piye kisuu pah ko))ii jaise vaar ke
ba((d az vidaa((-e yaar bah ;xuu;N dar tapiidah hai;N
naqsh-e qadam hai;N ham kaf-e paa-e nigaar ke
ham mashq-e fikr-e va.sl-o-;Gam-e hijr se asad
laa))iq nahii;N rahe hai;N ;Gam-e rozgaar ke