har qadam duurii-e manzil hai
numaayaa;N mujh se
merii raftaar se bhaage hai bayaabaa;N mujh se
dars-e ((unvaan-e tamaashaa
bah ta;Gaaful ;xvushtar
hai nigah rishtah-e shiiraazah-e mizhgaa;N mujh se
va;hshat-e aatish-e dil se
shab-e tanhaa))ii me;N
.suurat-e duud rahaa saayah gurezaa;N mujh se
;Gam-e ((ushshaaq nah ho
saadagii-aamoz-e butaa;N
kis qadar ;xaanah-e aa))iinah hai viiraa;N mujh se
a;sar-e aablah se jaadah-e
.sa;hraa-e junuu;N
.suurat-e rishtah-e gauhar hai chiraa;Gaa;N mujh se
be-;xvudii bistar-e tamhiid-e
faraa;Gat huujo
pur hai saa))e kii :tara;h meraa shabistaa;N mujh se
shauq-e diidaar me;N gar tuu
mujhe gardan maare
ho nigah mi;sl-e gul-e sham((a pareshaa;N mujh se
bekasiihaa-e shab-e hijr kii
va;hshat hai hai
saayah ;xvurshiid-e qiyaamat me;N hai pinhaa;N mujh se
gardish-e saa;Gar-e
.sad-jalvah-e rangii;N tujh se
aa))inah-daarii-e yak diidah-e ;hairaa;N mujh se
nigah-e garm se ik aag
;Tapaktii hai asad
hai chiraa;Gaa;N ;xas-o-;xaashaak-e gulistaa;N mujh se
bastan-e ((ahd-e mu;habbat hamah
naa-daanii thaa
chashm-e nakshuudah rahaa ((uqdah-e paimaa;N mujh se
aatish-afrozii-e yak shu((lah-e
iimaa tujh se
chashmak-aaraa))ii-e .sad-shahr chiraa;Gaa;N mujh se