faryaad kii ko))ii lai nahii;N hai
naalah paaband-e nai nahii;N hai
kyuu;N bote hai;N baa;G-baan tuu;Nbe
gar baa;G gadaa-e mai nahii;N hai
har-chand har ek shai me;N tuu hai
par tujh-sii ko))ii shai nahii;N hai
haa;N khaa))iyo mat fareb-e hastii
har-chand kahe;N kih hai nahii;N hai
shaadii se guzar kih ;Gam nah rahve
urdii jo nah ho to dai nahii;N hai
kyuu;N radd-e qada;h kare hai zaahid
mai hai yih magas kii qai nahii;N hai
hastii hai nah kuchh ((adam hai ;Gaalib
aa;xir tuu kyaa hai ai nahii;N hai
anjaam-e shumaar-e ;Gam nah puuchho
yih ma.sraf-e taa-bakai nahii;N hai
jis dil me;N kih taa-bakai samaa jaa))e
vaa;N ((izzat-e ta;xt-e kai nahii;N hai