;Gam khaane me;N bodaa dil-e naa-kaam
bahut hai
yih ranj kih kam hai mai-e gulfaam bahut hai
kahte hu))e saaqii se ;hayaa aatii hai
varnah
hai yuu;N kih mujhe durd-e tah-e jaam bahut hai
ne tiir kamaa;N me;N hai nah .sayyaad
kamii;N me;N
goshe me;N qafas ke mujhe aaraam bahut hai
kyaa zuhd ko maanuu;N kih nah ho garchih
riyaa))ii
paadaash-e ((amal kii :tama((-e ;xaam bahut hai
hai;N ahl-e ;xirad kis ravish-e ;xaa.s
pah naazaa;N
paa-bastagii-e rasm-o-rah-e ((aam bahut hai
zamzam hii pah chho;Ro mujhe kyaa :tauf-e
;haram se
aaluudah bah mai jaamah-e a;hraam bahut hai
hai qahr gar ab bhii nah bane baat kih
un ko
inkaar nahii;N aur mujhe ibraam bahut hai
;xuu;N ho ke jigar aa;Nkh se ;Tapkaa
nahii;N ai marg
rahne de mujhe yaa;N kih abhii kaam bahut hai
hogaa ko))ii aisaa bhii kih ;Gaalib
ko nah jaane
shaa((ir to vuh achchhaa hai pah bad-naam bahut hai