See the script bar at the bottom of the page for viewing choices.
[*08* cont'd] udhar kaa ma((luum nahii;N _ lekin idhar laahor ke paagal-;xaane me;N jab us tabaadile kii ;xabar pahu;Nchii to ba;Rii dilchasp chih-mii-guu))iyaa;N hone lagii;N _ ek musalmaan paagal jo baarah baras se har roz baa-qaa))idagii ke saath " zamiindaar " pa;Rhtaa thaa us se jab us ke ek dost ne puuchhaa _ " molbii saab , yih paakistaan kyaa hotaa hai " _ to us ne ba;Re ;Gor-o-fikr ke ba((d javaab diyaa _" hinduustaan me;N ek aisii jagah hai jahaa;N usture bante hai;N " _
yih javaab sun kar us kaa dost mu:tma((in ho gayaa _
usii :tar;h ek sikh paagal ne ek duusre sikh paagal se puuchaa _" sardaar-jii hame;N hinduustaan kyuu;N bhejaa jaa rahaa hai --- hame;N to vahaa;N kii bolii nahii;N aatii " _
duusraa muskaraayaa _ " mujhe to hinduusto;Ro;N kii bolii aatii hai --- hinduustaanii ba;Re shai:taanii aaka;R aaka;R phirte hai;N ---"
ek din nahaate nahaate ek musalmaan paagal ne " paakistaan zindah baad " [*09*] kaa na((rah is zor se buland kiyaa kih farsh par phisal kar giraa aur behosh ho gayaa _
*to translation section (2)* -- *on to text section (3)*
-- "Toba Tek Singh" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --