See the script bar at the bottom of the page for viewing choices.
[*12* cont'd] ek sikh thaa jis ko paagal-;xaane me;N daa;xil hu))e pandrah baras ho chuke the _ har vaqt us kii zabaan se yih ((ajiib-o-;Gariib alfaa:z sunne me;N aate the _ " uupa;R dii gu;R gu;R dii enaks dii be dhyaanaa dii mu;Ng dii daal aaf dii laal;Ten" _ din ko sotaa thaa nah raat ko _ pahrah-daaro;N kaa yih kahnaa thaa kih pandrah baras ke :taviil ((ar.se me;N vuh ek la;h:ze ke li))e bhii nahii;N soyaa _ le;Ttaa bhii nahii;N thaa _ albattah kabhii kabhii kisii diivaar ke saath tek lagaa letaa thaa _
har vaqt kha;Re rahne se us ke paa))o;N suuj ga))e the _ pi;N;Dliyaa;N bhii phuul ga))ii thii;N _ magar is jismaanii takliif ke baa-vujuud le;T kar aaraam nahii;N kartaa thaa _ hinduustaan , paakistaan aur paagalo;N ke tabaadile ke muta((lliq jab kabhii paagal-;xaane me;N guftaguu hotii thii to vuh ;Gor se suntaa thaa _ ko))ii us se puuchhtaa kih us kaa kyaa ;xiyaal hai to vuh ba;Rii sanjiidagii se javaab detaa _" uupa;R dii gu;R gu;R dii enaks dii be dhyaanaa dii muu;Ng dii daal aaf dii paakistaan gavarnman;T " _
[*13*] lekin ba((d me;N " aaf dii paakistaan gavarnman;T " kii jagah " aaf dii ;Tobah ;Tek si;Ngh gavarnment " ne le lii aur us ne duusre paagalo;N se puuchhnaa shuruu(( kiyaa kih ;Tobah ;Tek si;Ngh kahaa;N hai jahaa;N kaa vuh rahne vaalaa hai _ lekin kisii ko bhii ma((luum nahii;N thaa kih vuh paakistaan me;N hai yaa hinduustaan me;N _ jo bataane kii koshish karte the vuh ;xvud is uljhaa))o me;N giriftaar ho jaate the kih siyaalko;T pahle hinduustaan me;N hotaa thaa par ab sunaa hai kih paakistaan me;N hai _ kyaa pataa hai kih laahor jo ab paakistaan me;N hai kal hinduustaan me;N chalaa jaa))e _ yaa saaraa hinduustaan hii paakistaan ban jaa))e _ aur yih bhii kaun siine par haath rakh kar kah saktaa thaa kih hinduustaan aur paakistaan dono;N kisii din sare se ;Gaa))ib hii ho jaa))e;N _
*to translation section (6)* -- *on to text section (7)*
-- "Toba Tek Singh" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --